qaem main ghazal taur kiya reKHta warna
ek baat lachar si ba-zaban-e-dakani thi
Qayem Chandpuri
'qaem' main iKHtiyar kiya shaeri ka aib
pahuncha na koi shaKHs jab apne hunar talak
Qayem Chandpuri
'qaem' main reKHta ko diya KHilat-e-qubul
warna ye pesh-e-ahl-e-hunar kya kamal tha
Qayem Chandpuri
qazi KHabar le mai ko bhi likkha hai wan mubah
rishwat ka hai jawaz teri jis kitab mein
Qayem Chandpuri
qismat to dekh TuTi hai ja kar kahan kamand
kuchh dur apne hath se jab baam rah gaya
Qayem Chandpuri
qissa-e-barhana-pai ko mere ai majnun
KHar se puchh ki sab nok-e-zaban hai us ko
Qayem Chandpuri
asm is ghar ki nahin dad kisu ki de koi
shor-o-ghaugha na kar ai murgh-e-giraftar abas
Qayem Chandpuri

