kucha tera nashe ki ye shiddat jahan se lag
allah hi nibahe miyan aaj ghar talak
Qayem Chandpuri
lagai aag pani mein ye kis ke aks ne pyare
ki ham-digar chali hain mauj se dariya mein shamshiren
Qayem Chandpuri
mani na aaen dark mein ghair-az-wajud-e-lafz
aare dalil-e-rah-e-haqiqat majaz hai
Qayem Chandpuri
mai ki tauba ko to muddat hui 'qaem' lekin
be-talab ab bhi jo mil jae to inkar nahin
Qayem Chandpuri
mai pi jo chahe aatish-e-dozaKH se tu najat
jalta nahin wo uzw jo tar ho sharab mein
Qayem Chandpuri
main diwana hun sada ka mujhe mat qaid karo
ji nikal jaega zanjir ki jhankar ke sath
Qayem Chandpuri
main hun ki mere dukh pe koi chashm-e-tar na ho
mar bhi agar rahun to kisi ko KHabar na hun
Qayem Chandpuri

