main kaha ahd kya kiya tha raat
hans ke kahne laga ki yaad nahin
Qayem Chandpuri
main kin aankhon se ye dekhun ki saya sath ho tere
mujhe chalne de aage ya Tuk us ko peshtar le ja
Qayem Chandpuri
masjid se gar tu shaiKH nikala hamein to kya
'qaem' wo mai-farosh ki apne dukan rahe
Qayem Chandpuri
meri nazar mein hai 'qaem' ye kaenat tamam
nazar mein go koi lata nahin hai yan mujh ko
Qayem Chandpuri
mujh be-gunah ke qatl ka aahang kab talak
aa ab bina-e-sulh rakhen jang kab talak
Qayem Chandpuri
na jaane kaun si saat chaman se bichhDe the
ki aankh bhar ke na phir su-e-gulsitan dekha
Qayem Chandpuri
nazar mein kaba kya Thahre ki yan dair
raha hai muddaton maskan hamara
Qayem Chandpuri

