aunaq-e-baada-parasti thi hamin tak jab se
hum ne ki tauba kahin nam-e-KHarabaat nahin
Qayem Chandpuri
sang ko aab karen pal mein hamari baaten
lekin afsos yahi hai ki kahan sunte ho
Qayem Chandpuri
sair us kuche ki karta hun ki jibril jahan
ja ke bola ki bas ab aage main jal jaunga
Qayem Chandpuri
shamat hai kya ki shaiKH se koi mile ki wan
roza wabaal-e-jaan hai sada ya namaz hai
Qayem Chandpuri
shaiKH-ji aaya na masjid mein wo kafir warna hum
puchhte tum se ki ab wo parsai kya hui
Qayem Chandpuri
shaiKH-ji kyunki maasi se bachen hum ki gunah
irs hai apni hum aadam ke agar pote hain
Qayem Chandpuri
shaiKH-ji mana main is ko tum farishta ho to ho
lek hazrat-admi hona nihayat dur hai
Qayem Chandpuri

