TuTa jo kaba kaun si ye ja-e-gham hai shaiKH
kuchh qasr-e-dil nahin ki banaya na jaega
Qayem Chandpuri
wahshat-e-dil koi shahron mein sama sakti hai
kash le jae junun su-e-bayaban mujh ko
Qayem Chandpuri
yan talak KHush hun amarid se ki ai rabb-e-karim
kash de hur ke badle bhi tu ghilman mujh ko
Qayem Chandpuri
ye pas-e-din tera hai sab us waqt tak ki shaiKH
dekha nahin hai tu ne wo kafir farang ka
Qayem Chandpuri
zalim tu meri sada-dili par to rahm kar
ruTha tha tujh se aap hi aur aap man gaya
Qayem Chandpuri
naqsh-e-kaf-e-pa ne gul khilae
viran kahan ab ye rasta hai
Qayyum Nazar
puchho to ek ek hai tanha sulag raha
dekho to shahr shahr hai mela laga hua
Qayyum Nazar

