e-nam sa ye dard Thahar kyun nahin jata
jo bit gaya hai wo guzar kyun nahin jata
Nida Fazli
indaban ke kirshn kanhayya allah hu
bansi radha gita gaiyya allah hu
Nida Fazli
indaban ke kirshn kanhayya allah hu
bansi radha gita gayya allah hu
Nida Fazli
chiDiya ne uD kar kaha mera hai aakash
bola shikra Dal se yunhi hota kash
Nida Fazli
dhup mein niklo ghaTaon mein naha kar dekho
zindagi kya hai kitabon ko haTa kar dekho
Nida Fazli
dil mein na ho jurat to mohabbat nahin milti
KHairaat mein itni baDi daulat nahin milti
Nida Fazli
duniya jise kahte hain jadu ka khilauna hai
mil jae to miTTi hai kho jae to sona hai
Nida Fazli

