har ghaDi KHud se ulajhna hai muqaddar mera
main hi kashti hun mujhi mein hai samundar mera
Nida Fazli
har jangal ki ek kahani wo hi bhenT wahi qurbani
gungi bahri sari bheDen charwahon ki jagiren hain
Nida Fazli
hosh walon ko KHabar kya be-KHudi kya chiz hai
ishq kije phir samajhiye zindagi kya chiz hai
Nida Fazli
is andhere mein to Thokar hi ujala degi
raat jangal mein koi shama jalane se rahi
Nida Fazli
itna sach bol ki honTon ka tabassum na bujhe
raushni KHatm na kar aage andhera hoga
Nida Fazli
jitni buri kahi jati hai utni buri nahin hai duniya
bachchon ke school mein shayad tum se mili nahin hai duniya
Nida Fazli
kabhi kisi ko mukammal jahan nahin milta
kahin zamin kahin aasman nahin milta
Nida Fazli

