ghar ko khojen raat din ghar se nikle panw
wo rasta hi kho gaya jis raste tha ganw
Nida Fazli
girja mein mandiron mein azanon mein baT gaya
hote hi subh aadmi KHanon mein baT gaya
Nida Fazli
hum bhi kisi kaman se nikle the tir se
ye aur baat hai ki nishane KHata hue
Nida Fazli
hum labon se kah na pae un se haal-e-dil kabhi
aur wo samjhe nahin ye KHamushi kya chiz hai
Nida Fazli
hamara 'mir'-ji se muttafiq hona hai na-mumkin
uThana hai jo patthar ishq ka to halka bhaari kya
Nida Fazli
har aadmi mein hote hain das bis aadmi
jis ko bhi dekhna ho kai bar dekhna
Nida Fazli
har ek baat ko chup-chap kyun suna jae
kabhi to hausla kar ke nahin kaha jae
Nida Fazli

