اردو हिंदी
Dhup mein niklo ghaTaon mein naha kar dekho | Shaahi Shayari
dhup mein niklo ghaTaon mein naha kar dekho

Ghazal

Dhup mein niklo ghaTaon mein naha kar dekho

Nida Fazli

;

dhup mein niklo ghaTaon mein naha kar dekho
zindagi kya hai kitabon ko haTa kar dekho

sirf aankhon se hi duniya nahin dekhi jati
dil ki dhaDkan ko bhi binai bana kar dekho

pattharon mein bhi zaban hoti hai dil hote hain
apne ghar ke dar-o-diwar saja kar dekho

wo sitara hai chamakne do yunhi aankhon mein
kya zaruri hai use jism bana kar dekho

fasla nazron ka dhoka bhi to ho sakta hai
wo mile ya na mile hath baDha kar dekho