duniya na jit pao to haaro na aap ko
thoDi bahut to zehn mein naraazgi rahe
Nida Fazli
dur ke chand ko DhunDo na kisi aanchal mein
ye ujala nahin aangan mein samane wala
Nida Fazli
ek be-chehra si ummid hai chehra chehra
jis taraf dekhiye aane ko hai aane wala
Nida Fazli
ek mahfil mein kai mahfilen hoti hain sharik
jis ko bhi pas se dekhoge akela hoga
Nida Fazli
fasla nazron ka dhoka bhi to ho sakta hai
wo mile ya na mile hath baDha kar dekho
Nida Fazli
gham hai aawara akele mein bhaTak jata hai
jis jagah rahiye wahan milte-milate rahiye
Nida Fazli
gham ho ki KHushi donon kuchh dur ke sathi hain
phir rasta hi rasta hai hansna hai na rona hai
Nida Fazli

