apni marzi se kahan apne safar ke hum hain
ruKH hawaon ka jidhar ka hai udhar ke hum hain
Nida Fazli
aDe baDe gham khaDe hue the rasta roke rahon mein
chhoTi chhoTi KHushiyon se hi hum ne dil ko shad kiya
Nida Fazli
agh mein jaane ke aadab hua karte hain
kisi titli ko na phulon se uDaya jae
Nida Fazli
achcha bola dekh kar masjid aali-shan
allah tere ek ko itna baDa makan
Nida Fazli
adla na apne-ap ko jo the wahi rahe
milte rahe sabhi se magar ajnabi rahe
Nida Fazli
ahut mushkil hai banjara-mizaji
saliqa chahiye aawargi mein
Nida Fazli
arsat ka baadal to diwana hai kya jaane
kis rah se bachna hai kis chhat ko bhigona hai
Nida Fazli

