ahut hasin sahi sohbaten gulon ki magar
wo zindagi hai jo kanTon ke darmiyan guzre
Jigar Moradabadi
aiThe hue raqib hain dilbar ke aas-pas
kanTon ka hai hujum gul-e-tar ke aas-pas
Jigar Moradabadi
an jaun na begana-e-adab-e-mohabbat
itna na qarib aao munasib to yahi hai
Jigar Moradabadi
arabar se bach kar guzar jaane wale
ye nale nahin be-asar jaane wale
Jigar Moradabadi
hulana hamara mubarak mubarak
magar shart ye hai na yaad aaiyega
Jigar Moradabadi
igDa hua hai rang jahan-e-KHarab ka
bhar lun nazar mein husn kisi ke shabab ka
Jigar Moradabadi
chashm pur-nam zulf aashufta nigahen be-qarar
is pashimani ke sadqe main pashiman ho gaya
Jigar Moradabadi

