aaya tha sath le ke mohabbat ki aafaten
jaega jaan le ke zamana shabab ka
Jigar Biswani
hasraton ka ho gaya hai is qadar dil mein hujum
sans rasta DhunDhti hai aane jaane ke liye
Jigar Jalandhari
aa ki tujh bin is tarah ai dost ghabraata hun main
jaise har shai mein kisi shai ki kami pata hun main
Jigar Moradabadi
aai jab un ki yaad to aati chali gai
har naqsh-e-ma-siwa ko miTati chali gai
Jigar Moradabadi
aankhon ka tha qusur na dil ka qusur tha
aaya jo mere samne mera ghurur tha
Jigar Moradabadi
aankhon mein nami si hai chup chup se wo baiThe hain
nazuk si nigahon mein nazuk sa fasana hai
Jigar Moradabadi
aabaad agar na dil ho to barbaad kijiye
gulshan na ban sake to bayaban banaiye
Jigar Moradabadi

