duniya ke sitam yaad na apni hi wafa yaad
ab mujh ko nahin kuchh bhi mohabbat ke siwa yaad
Jigar Moradabadi
duniya ye dukhi hai phir bhi magar thak kar hi sahi so jati hai
tere hi muqaddar mein ai dil kyun chain nahin aaram nahin
Jigar Moradabadi
ek aisa bhi waqt hota hai
muskurahaT bhi aah hoti hai
Jigar Moradabadi
ek dil hai aur tufan-e-hawadis ai 'jigar'
ek shisha hai ki har patthar se Takraata hun main
Jigar Moradabadi
fikr-e-jamil KHwab-e-pareshan hai aaj-kal
shaer nahin hai wo jo ghazal-KHwan hai aaj-kal
Jigar Moradabadi
garche ahl-e-sharab hain hum log
ye na samjho KHarab hain hum log
Jigar Moradabadi
gharq kar de tujh ko zahid teri duniya ko KHarab
kam se kam itni to har mai-kash ke paimane mein hai
Jigar Moradabadi

