اردو हिंदी
Barabar se bach kar guzar jaane wale | Shaahi Shayari
barabar se bach kar guzar jaane wale

Ghazal

Barabar se bach kar guzar jaane wale

Jigar Moradabadi

;

barabar se bach kar guzar jaane wale
ye nale nahin be-asar jaane wale

nahin jaante kuchh ki jaana kahan hai
chale ja rahe hain magar jaane wale

mere dil ki betabiyan bhi liye ja
dabe panw munh pher kar jaane wale

tere ek ishaare pe sakit khaDe hain
nahin kah ke sab se guzar jaane wale

mohabbat mein hum to jiye hain jiyenge
wo honge koi aur mar jaane wale