aadat ke baad dard bhi dene laga maza
hans hans ke aah aah kiye ja raha hun main
Jigar Moradabadi
aadmi ke pas sab kuchh hai magar
ek tanha aadamiyyat hi nahin
Jigar Moradabadi
aaghaz-e-mohabbat ka anjam bas itna hai
jab dil mein tamanna thi ab dil hi tamanna hai
Jigar Moradabadi
aaj na jaane raaz ye kya hai
hijr ki raat aur itni raushan
Jigar Moradabadi
aap ke dushman rahen waqf-e-KHalish sarf-e-tapish
aap kyun gham-KHwari-e-bimar-e-hijran kijiye
Jigar Moradabadi
aatish-e-ishq wo jahannam hai
jis mein firdaus ke nazare hain
Jigar Moradabadi
ab to ye bhi nahin raha ehsas
dard hota hai ya nahin hota
Jigar Moradabadi

