kuchh iztirab-e-ishq ka aalam na puchhiye
bijli taDap rahi thi ki jaan is badan mein thi
Jagat Mohan Lal Ravan
pesh to hoga adalat mein muqadma be-shak
jurm qatil hi ke sar ho ye zaruri to nahin
Jagat Mohan Lal Ravan
samne tarif ghibat mein gila
aap ke dil ki safai dekh li
Jagat Mohan Lal Ravan
toDa hai dam abhi abhi bimar-e-hijr ne
aae magar huzur ko taKHir ho gai
Jagat Mohan Lal Ravan
us ko KHizan ke aane ka kya ranj kya qalaq
rote kaTa ho jis ko zamana bahaar ka
Jagat Mohan Lal Ravan
wo baada-nosh haqiqat hai is jahan mein 'rawan'
ki jhum jae falak gar use KHumar aae
Jagat Mohan Lal Ravan
wo KHush ho ke mujh se KHafa ho gaya
mujhe kya umiden thin kya ho gaya
Jagat Mohan Lal Ravan

