اردو हिंदी
Wo KHush ho ke mujhse KHafa ho gaya | Shaahi Shayari
wo KHush ho ke mujhse KHafa ho gaya

Ghazal

Wo KHush ho ke mujhse KHafa ho gaya

Jagat Mohan Lal Ravan

;

wo KHush ho ke mujh se KHafa ho gaya
mujhe kya umiden thin kya ho gaya

nawed-e-shafa chaarasazon ko do
maraz ab mera la-dawa ho gaya

kisi ghair se kya tawaqqo ki jab
mera dil hi dushman mera ho gaya

kahan se kahan lai qismat meri
kis aafat mein main mubtala ho gaya

main yakja hi karta tha apne hawas
ki un se mera samna ho gaya

'rawan' tu kahan aur kahan dard-e-ishq
tujhe kya ye mard-e-KHuda ho gaya