gai thi kah ke main lati hun zulf-e-yar ki bu
phiri to baad-e-saba ka dimagh bhi na mila
Jalal Lakhnavi
ishq ki choT ka kuchh dil pe asar ho to sahi
dard kam ho ya ziyaada ho magar ho to sahi
Jalal Lakhnavi
'jalal' ahd-e-jawani hai doge dil sau bar
abhi ki tauba nahin e'tibar ke qabil
Jalal Lakhnavi
na ho barham jo bosa be-ijazat le liya main ne
chalo jaane do betabi mein aisa ho hi jata hai
Jalal Lakhnavi
pahunche na wahan tak ye dua mang raha hun
qasid ko udhar bhej ke dhyan aae hai kya kya
Jalal Lakhnavi
wada kyun bar bar karte ho
KHud ko be-e'tibar karte ho
Jalal Lakhnavi
dil ko is tarh dekhne wale
dil agar be-qarar ho jae
Jalaluddin Akbar

