har aan ek taza shikayat hai aap se
allah mujh ko kitni mohabbat hai aap se
Jalaluddin Akbar
ishq se hai farogh-e-rang-e-jahan
ibtida hum hain intiha hain hum
Jalaluddin Akbar
tera wasl hai mujhe be-KHudi tera hijr hai mujhe aagahi
tera wasl mujh ko firaq hai tera hijr mujh ko visal hai
Jalaluddin Akbar
ye bhul bhi kya bhul hai ye yaad bhi kya yaad
tu yaad hai aur koi nahin tere siwa yaad
Jalaluddin Akbar
ye kaenat ye bazm-e-zuhur kuchh bhi nahin
teri nazar mein nahin hai jo nur kuchh bhi nahin
Jalaluddin Akbar
aali sher ho ya afsana ya chahat ka tana bana
lutf adhura rah jata hai puri baat bata dene se
Jaleel u0027Aaliu0027
apne diye ko chand batane ke waste
basti ka har charagh bujhana paDa hamein
Jaleel u0027Aaliu0027

