main kya karun ki zabt-e-tamanna ke bawajud
be-iKHtiyar lab pe tera nam aa gaya
Jagan Nath Azad
sukun-e-dil jahan-e-besh-o-kam mein DhunDne wale
yahan har chiz milti hai sukun-e-dil nahin milta
Jagan Nath Azad
tumhein kuchh is ki KHabar bhi hai ai chaman walo
sahar ke baad nasim-e-sahar pe kya guzri
Jagan Nath Azad
aaen pasand kya use duniya ki rahaten
jo lazzat-ashna-e-sitam-ha-e-naz tha
Jagat Mohan Lal Ravan
abhi tak fasl-e-gul mein ek sada-e-dard aati hai
wahan ki KHak se pahle jahan tha aashiyan mera
Jagat Mohan Lal Ravan
agar kuchh roz zinda rah ke mar jaana muqaddar hai
to is duniya mein aaKHir bais-e-taKHliq-e-jaan kya tha
Jagat Mohan Lal Ravan
hanse bhi roe bhi lekin na samjhe
KHushi kya chiz hai duniya mein gham kya
Jagat Mohan Lal Ravan

