lamha munsif bhi hai mujrim bhi hai majburi ka
faeda shak ka mujhe de ke bari kar jae
Aftab Iqbal Shamim
phir se talif-e-dil ho phir koi
is sahife ki ru-numai kare
Aftab Iqbal Shamim
ye hijraten hain zamin o zaman se aage ki
jo ja chuka hai use lauT kar nahin aana
Aftab Iqbal Shamim
ghar ghair ke jo yar mera raat se gaya
ji sine se nikal gaya dil hat se gaya
Aftab Shah Alam Sani
ya sal o mah tha tu mere sath ya to ab
barson mein ek din ki mulaqat se gaya
Aftab Shah Alam Sani
dekh kar us ko laga jaise kahin ho dekha
yaad bilkul nahin aaya mujhe ghanTon socha
Aftab Shamsi
jo dil mein hai wahi bahar dikhai deta hai
ab aar-par ye patthar dikhai deta hai
Aftab Shamsi