tere badan ke gulistan ki yaad aati hai
KHud apni zat ke sahra ko par karte hue
Aftab Hussain
waqt ki wahshi hawa kya kya uDa kar le gai
ye bhi kya kam hai ki kuchh us ki kami maujud hai
Aftab Hussain
wo sar se panw tak hai ghazab se bhara hua
main bhi hun aaj josh-e-talab se bhara hua
Aftab Hussain
wo shor hota hai KHwabon mein 'aftab' 'husain'
ki KHud ko nind se bedar karne lagta hun
Aftab Hussain
wo yun mila tha ki jaise kabhi na bichhDega
wo yun gaya ki kabhi lauT kar nahin aaya
Aftab Hussain
ye dil ki rah chamakti thi aaine ki tarah
guzar gaya wo use bhi ghubar karte hue
Aftab Hussain
ye soch kar bhi to us se nibah ho na saka
kisi se ho bhi saka hai mera guzara kahin
Aftab Hussain