اردو हिंदी
Nazar ke samne rahna nazar nahin aana | Shaahi Shayari
nazar ke samne rahna nazar nahin aana

Ghazal

Nazar ke samne rahna nazar nahin aana

Aftab Iqbal Shamim

;

nazar ke samne rahna nazar nahin aana
tere siwa ye kisi ko hunar nahin aana

ye intizar magar iKHtiyar mein bhi nahin
pata to hai ki use umr bhar nahin aana

ye hijraten hain zamin o zaman se aage ki
jo ja chuka hai use lauT kar nahin aana

zara si ghaib ki luknat zaban mein lao
baghair is ke suKHan mein asar nahin aana

har aane wala naya rasta dikhata hai
isi liye to hamein rah par nahin aana

zara wo dusri khiDki bhi khol kamre ki
nahin to taza hawa ne idhar nahin aana

karun masafaten na-afrida rahon ki
mujh aisa baad mein aawara-sar nahin aana