kuchh aur tarah ki mushkil mein Dalne ke liye
main apni zindagi aasan karne wala hun
Aftab Hussain
kuchh rabt-e-KHas asl ka zahir ke sath hai
KHushbu uDe to uDta hai phulon ka rang bhi
Aftab Hussain
kya KHabar mere hi sine mein paDi soti ho
bhagta phirta hun jis rog-bhari raat se main
Aftab Hussain
log kis kis tarah se zinda hain
hamein marne ka bhi saliqa nahin
Aftab Hussain
milta hai aadmi hi mujhe har maqam par
aur main hun aadmi ki talab se bhara hua
Aftab Hussain
pate ki baat bhi munh se nikal hi jati hai
kabhi kabhi koi jhuTi KHabar banate hue
Aftab Hussain
so apne hath se din bhi gaya hai duniya bhi
ki ek sire ko pakaDte to dusra jata
Aftab Hussain