zara jo fursat-e-nazzargi mayassar ho
to ek pal mein bhi kya kya hai dekhne ke liye
Aftab Hussain
dil aur duniya donon ko KHush rakhne mein
apne-ap se duri to ho jati hai
Aftab Iqbal Shamim
ishq mein ye majburi to ho jati hai
duniya ghair-zaruri to ho jati hai
Aftab Iqbal Shamim
kaha tha kis ne ki shaKH-e-nahif se phuTen
gunah hum se hua be-gunahiyon jaisa
Aftab Iqbal Shamim
KHwab ke aage shikast-e-KHwab ka tha samna
ye safar tha marhala-dar-marhala TuTa hua
Aftab Iqbal Shamim
kya raat ke aashob mein wo KHud se laDa tha
aaine ke chehre pe KHarashen si paDi hain
Aftab Iqbal Shamim
lafzon mein KHali jaghen bhar lene se
baat adhuri, puri to ho jati hai
Aftab Iqbal Shamim