اردو हिंदी
Jab wo iqrar-e-ashnai kare | Shaahi Shayari
jab wo iqrar-e-ashnai kare

Ghazal

Jab wo iqrar-e-ashnai kare

Aftab Iqbal Shamim

;

jab wo iqrar-e-ashnai kare
gul kaf-e-shaKH ko hinai kare

jis ko kam kam niyaz-e-jaan ho nasib
koi iqdam-e-intihai kare

phir se talif-e-dil ho phir koi
is sahife ki ru-numai kare

shewa-e-ahl-e-dil yahi hai ki tu
baiat-e-dast-e-na-rasai kare

dil mein shauq-e-nabard hai itna
har hazimat mujhe rajai kare

qurb mein jab ana ki duri ho
koi kyun KHwahish-e-judai kare