diwaron mein dar hota to achchha tha
apna koi ghar hota to achchha tha
Afzaal Firdaus
is tarah sataya hai pareshan kiya hai
goya ki mohabbat nahin ehsan kiya hai
Afzaal Firdaus
jis ko meri haalat ka ehsas nahin
us ko dil ka haal suna kar rona kya
Afzaal Firdaus
kisi ne mujh se kah diya tha zindagi pe ghaur kar
main shaKH par khila hua gulab dekhta raha
Afzaal Firdaus
mushkil tha bahut mere liye tark-e-talluq
ye kaam bhi tum ne mera aasan kiya hai
Afzaal Firdaus
ang aa jate muTThi mein jugnu ban kar
KHushbu ka paikar hota to achchha tha
Afzaal Firdaus
ata usi ki hai ye shahd o shor ki taufiq
wahi galim mein ye nan-e-be-jawin laya
Afzal Ahmad Syed