dua ko hat uThate hue larazta hun
kabhi dua nahin mangi thi man ke hote hue
Iftikhar Arif
duaen yaad kara di gai thin bachpan mein
so zaKHm khate rahe aur dua diye gae hum
Iftikhar Arif
duniya badal rahi hai zamane ke sath sath
ab roz roz dekhne wala kahan se laen
Iftikhar Arif
Dub jaun to koi mauj nishan tak na batae
aisi naddi mein utar jaane ko ji chahta hai
Iftikhar Arif
ek charagh aur ek kitab aur ek ummid asasa
us ke baad to jo kuchh hai wo sab afsana hai
Iftikhar Arif
ek hum hi to nahin hain jo uThate hain sawal
jitne hain KHak-basar shahr ke sab puchhte hain
Iftikhar Arif
gham-e-jahan ko sharmsar karne wale kya hue
wo sari umr intizar karne wale kya hue
Iftikhar Arif

