اردو हिंदी
KHwab ki tarah bikhar jaane ko ji chahta hai | Shaahi Shayari
KHwab ki tarah bikhar jaane ko ji chahta hai

Ghazal

KHwab ki tarah bikhar jaane ko ji chahta hai

Iftikhar Arif

;

KHwab ki tarah bikhar jaane ko ji chahta hai
aisi tanhai ki mar jaane ko ji chahta hai

ghar ki wahshat se larazta hun magar jaane kyun
sham hoti hai to ghar jaane ko ji chahta hai

Dub jaun to koi mauj nishan tak na batae
aisi naddi mein utar jaane ko ji chahta hai

kabhi mil jae to raste ki thakan jag paDe
aisi manzil se guzar jaane ko ji chahta hai

wahi paiman jo kabhi ji ko KHush aaya tha bahut
usi paiman se mukar jaane ko ji chahta hai