hazaron kaam mohabbat mein hain maze ke 'dagh'
jo log kuchh nahin karte kamal karte hain
Dagh Dehlvi
hazrat-e-'dagh' hai ye kucha-e-qatil uThiye
jis jagah baiThte hain aap to jam jate hain
Dagh Dehlvi
hazrat-e-dagh jahan baiTh gae baiTh gae
aur honge teri mahfil se ubharne wale
Dagh Dehlvi
hazrat-e-dil aap hain kis dhyan mein
mar gae lakhon isi arman mein
Dagh Dehlvi
ho chuka aish ka jalsa to mujhe KHat bheja
aap ki tarah se mehman bulae koi
Dagh Dehlvi
ho sake kya apni wahshat ka ilaj
mere kuche mein bhi sahra chahiye
Dagh Dehlvi
hua hai chaar sajdon par ye dawa zahido tum ko
KHuda ne kya tumhaare hath jannat bech Dali hai
Dagh Dehlvi