di shab-e-wasl moazzin ne azan pichhli raat
hae kam-baKHt ko kis waqt KHuda yaad aaya
Dagh Dehlvi
dil le ke un ki bazm mein jaya na jaega
ye muddai baghal mein chhupaya na jaega
Dagh Dehlvi
dil mein sama gai hain qayamat ki shoKHiyan
do-chaar din raha tha kisi ki nigah mein
Dagh Dehlvi
duniya mein jaanta hun ki jannat mujhe mili
rahat agar zara si musibat mein mil gai
Dagh Dehlvi
falak deta hai jin ko aish un ko gham bhi hote hain
jahan bajte hain naqqare wahan matam bhi hota hai
Dagh Dehlvi
fasurda-dil kabhi KHalwat na anjuman mein rahe
bahaar ho ke rahe hum to jis chaman mein rahe
Dagh Dehlvi
ghamza bhi ho saffak nigahen bhi hon KHun-rez
talwar ke bandhe se to qatil nahin hota
Dagh Dehlvi