ifsha-e-raaz-e-ishq mein go zillaten huin
lekin use jata to diya jaan to gaya
Dagh Dehlvi
id hai qatl mera ahl-e-tamasha ke liye
sab gale milne lage jab ki wo jallad aaya
Dagh Dehlvi
ek ada mastana sar se panw tak chhai hui
uf teri kafir jawani josh par aai hui
Dagh Dehlvi
ilahi kyun nahin uThti qayamat majra kya hai
hamare samne pahlu mein wo dushman ke baiThe hain
Dagh Dehlvi
is liye wasl se inkar hai hum jaan gae
ye na samjhe koi kya jald kaha man gae
Dagh Dehlvi
is wahm mein wo 'dagh' ko marne nahin dete
mashuq na mil jae kahin zer-e-zamin au
Dagh Dehlvi
jao bhi kya karoge mehr-o-wafa
bar-ha aazma ke dekh liya
Dagh Dehlvi