ghash kha ke 'dagh' yar ke qadmon pe gir paDa
behosh ne bhi kaam kiya hoshiyar ka
Dagh Dehlvi
ghazab kiya tere wade pe e'tibar kiya
tamam raat qayamat ka intizar kiya
Dagh Dehlvi
hum bhi kya zindagi guzar gae
dil ki bazi laga ke haar gae
Dagh Dehlvi
hamari taraf ab wo kam dekhte hain
wo nazren nahin jin ko hum dekhte hain
Dagh Dehlvi
hamein hai shauq ki be-parda tum ko dekhenge
tumhein hai sharm to aankhon pe hath dhar lena
Dagh Dehlvi
hasraten le gae is bazm se chalne wale
hath malte hi uThe itr ke malne wale
Dagh Dehlvi
hazar bar jo manga karo to kya hasil
dua wahi hai jo dil se kabhi nikalti hai
Dagh Dehlvi