chaak ho parda-e-wahshat mujhe manzur nahin
warna ye hath gireban se kuchh dur nahin
Dagh Dehlvi
chheD mashuq se kije to zara tham tham kar
roz ke nama o paigham bure hote hain
Dagh Dehlvi
chup-chap sunti rahti hai pahron shab-e-firaq
taswir-e-yar ko hai meri guftugu pasand
Dagh Dehlvi
'dagh' ko kaun dene wala tha
jo diya ai KHuda diya tu ne
Dagh Dehlvi
dafatan tark-e-talluq mein bhi ruswai hai
uljhe daman ko chhuDate nahin jhaTka de ka
Dagh Dehlvi
dekhna achchha nahin zanu pe rakh kar aaina
donon nazuk hain na rakhiyo aaine par aaina
Dagh Dehlvi
dekhna hashr mein jab tum pe machal jaunga
main bhi kya wada tumhaara hun ki Tal jaunga
Dagh Dehlvi