josh-e-rahmat ke waste zahid
hai zara si gunah-gari shart
Dagh Dehlvi
kal tak to aashna the magar aaj ghair ho
do din mein ye mizaj hai aage ki KHair ho
Dagh Dehlvi
KHar-e-hasrat bayan se nikla
dil ka kanTa zaban se nikla
Dagh Dehlvi
ki tark-e-mai to mail-e-pindar ho gaya
main tauba kar ke aur gunahgar ho gaya
Dagh Dehlvi
koi chhinTa paDe to 'dagh' kalkatte chale jaen
azimabaad mein hum muntazir sawan ke baiThe hain
Dagh Dehlvi
koi nam-o-nishan puchhe to ai qasid bata dena
taKHallus 'dagh' hai wo aashiqon ke dil mein rahte hain
Dagh Dehlvi
kya iztirab-e-shauq ne mujh ko KHajil kiya
wo puchhte hain kahiye irade kahan ke hain
Dagh Dehlvi