jali hain dhup mein shaklen jo mahtab ki thin
khinchi hain kanTon pe jo pattiyan gulab ki thin
Dagh Dehlvi
jalwe meri nigah mein kaun-o-makan ke hain
mujh se kahan chhupenge wo aise kahan ke hain
Dagh Dehlvi
jin ko apni KHabar nahin ab tak
wo mere dil ka raaz kya jaanen
Dagh Dehlvi
jis jagah baiThe mera charcha kiya
KHud hue ruswa mujhe ruswa kiya
Dagh Dehlvi
jis KHat pe ye lagai usi ka mila jawab
ek mohr mere pas hai dushman ke nam ki
Dagh Dehlvi
jo guzarte hain 'dagh' par sadme
aap banda-nawaz kya jaanen
Dagh Dehlvi
jo tumhaari tarah tum se koi jhuTe wade karta
tumhin munsifi se kah do tumhein e'tibar hota
Dagh Dehlvi