maut aaegi us se mil lenge
ab chalo zindagi se milte hain
Chaman Lal Chaman
hae kitna latif hai wo gham
jis ne baKHsha hai zindagi ka shuu
Chandra Parkash Jauhar Bijnauri
apni diwaron se kuchh bahar nikal
sirf KHali ghar ke baam-o-dar na dekh
Chandrabhan Khayal
hamare ghar ke aangan mein sitare bujh gae lakhon
hamari KHwab gahon mein na chamka subh ka suraj
Chandrabhan Khayal
insan ki duniya mein insan hai pareshan kyun
machhli to nahin hoti bechain kabhi jal mein
Chandrabhan Khayal
kar gaya suraj sabhi ko be-libas
ab koi saya koi paikar na dekh
Chandrabhan Khayal
kaun dahshat-gard hai aur kaun hai dahshat-zada
ye sab ek ibham-e-paiham ke siwa kuchh bhi nahin
Chandrabhan Khayal