na apne zabt ko ruswa karo sata ke mujhe
KHuda ke waste dekho na muskura ke mujhe
Bismil Azimabadi
ahraw-e-rah-e-mohabbat rah na jaana rah mein
lazzat-e-sahra-nawardi duri-e-manzil mein hai
Bismil Azimabadi
sauda wo kya karega KHaridar dekh kar
ghabra gaya jo garmi-e-bazar dekh ka
Bismil Azimabadi
tum sun ke kya karoge kahani gharib ki
jo sab ki sun raha hai kahenge usi se hum
Bismil Azimabadi
ugal na sang-e-malamat KHuda se Dar naseh
milega kya tujhe shishon ke TuT jaane se
Bismil Azimabadi
waqt aane de dikha denge tujhe ai aasman
hum abhi se kyun bataen kya hamare dil mein hai
Bismil Azimabadi
ye kah ke deti jati hai taskin shab-e-firaq
wo kaun si hai raat ki jis ki sahar na ho
Bismil Azimabadi