hansi 'bismil' ki haalat par kisi ko
kabhi aati thi ab aati nahin hai
Bismil Azimabadi
ho na mayus KHuda se 'bismil'
ye bure din bhi guzar jaenge
Bismil Azimabadi
ek ghalat sajde se kya hota hai waiz kuchh na puchh
umr bhar ki sab riyazat KHak mein mil jae hai
Bismil Azimabadi
jurat-e-shauq to kya kuchh nahin kahti lekin
panw phailane nahin deti hai chadar mujh ko
Bismil Azimabadi
KHizan jab tak chali jati nahin hai
chaman walon ko nind aati nahin hai
Bismil Azimabadi
kya karen jam-o-subu hath pakaD lete hain
ji to kahta hai ki uTh jaiye mai-KHane se
Bismil Azimabadi
majburiyon ko apni kahen kya kisi se hum
lae gae hain, aae nahin hain KHushi se hum
Bismil Azimabadi