اردو हिंदी
Koi lashkar ki dhaDakte hue gham aate hain | Shaahi Shayari
koi lashkar ki dhaDakte hue gham aate hain

Ghazal

Koi lashkar ki dhaDakte hue gham aate hain

Bashir Badr

;

koi lashkar ki dhaDakte hue gham aate hain
sham ke sae bahut tez qadam aate hain

dil wo darwesh hai jo aankh uThata hi nahin
us ke darwaze pe sau ahl-e-karam aate hain

mujh se kya baat likhani hai ki ab mere liye
kabhi sone kabhi chandi ke qalam aate hain

main ne do chaar kitaben to paDhi hain lekin
shahr ke taur-tariqe mujhe kam aate hain

KHub-surat sa koi hadisa aankhon mein liye
ghar ki dahliz pe Darte hue hum aate hain