اردو हिंदी
Yunhi be-sabab na phira karo koi sham ghar mein raha karo | Shaahi Shayari
yunhi be-sabab na phira karo koi sham ghar mein raha karo

Ghazal

Yunhi be-sabab na phira karo koi sham ghar mein raha karo

Bashir Badr

;

yunhi be-sabab na phira karo koi sham ghar mein raha karo
wo ghazal ki sachchi kitab hai use chupke chupke paDha karo

koi hath bhi na milaega jo gale miloge tapak se
ye nae mizaj ka shahr hai zara fasle se mila karo

abhi rah mein kai moD hain koi aaega koi jaega
tumhein jis ne dil se bhula diya use bhulne ki dua karo

mujhe ishtihaar si lagti hain ye mohabbaton ki kahaniyan
jo kaha nahin wo suna karo jo suna nahin wo kaha karo

kabhi husn-e-parda-nashin bhi ho zara aashiqana libas mein
jo main ban sanwar ke kahin chalun mere sath tum bhi chala karo

nahin be-hijab wo chand sa ki nazar ka koi asar na ho
use itni garmi-e-shauq se baDi der tak na taka karo

ye KHizan ki zard si shaal mein jo udas peD ke pas hai
ye tumhaare ghar ki bahaar hai use aansuon se hara karo