Tilism-e-KHwab-e-zuleKHa o dam-e-barda-farosh
hazar tarah ke qisse safar mein hote hain
Aziz Hamid Madni
tilism-e-shewa-e-yaran khula to kuchh na hua
kabhi ye habs-e-dil-o-jaan khule to baat chale
Aziz Hamid Madni
un ko ai narm hawa KHwab-e-junun se na jaga
raat mai-KHane ki aae hain guzare hue log
Aziz Hamid Madni
wafa ki raat koi ittifaq thi lekin
pukarte hain musafir ko saeban kya kya
Aziz Hamid Madni
waqt hi wo KHat-e-fasil hai ki ai ham-nafaso
dur hai mauj-e-bala aur kinare hue log
Aziz Hamid Madni
wo log jin se teri bazm mein the hangame
gae to kya teri bazm-e-KHayal se bhi gae
Aziz Hamid Madni
zahr ka jam hi de zahr bhi hai aab-e-hayat
KHushk-sali ki to ho jae talafi saqi
Aziz Hamid Madni