gham-e-hayat o gham-e-dost ki kashakash mein
hum aise log to ranj-o-malal se bhi gae
Aziz Hamid Madni
husn ki shart-e-wafa jo Thahri tesha o sang-e-giran ki baat
hum hon ya farhad ho aaKHir aashiq to mazdur raha
Aziz Hamid Madni
jab aai saat-e-be-tab teri be-libasi ki
to aaine mein jitne zawiye the rah gae jal ka
Aziz Hamid Madni
jo baat dil mein thi us se nahin kahi hum ne
wafa ke nam se wo bhi fareb kha jata
Aziz Hamid Madni
kazib sahafaton ki bujhi rakh ke tale
jhulsa hua milega waraq-dar-waraq ada
Aziz Hamid Madni
kah sakte to ahwal-e-jahan tum se hi kahte
tum se to kisi baat ka parda bhi nahin tha
Aziz Hamid Madni
KHalal-pazir hua rabt-e-mehr-o-mah mein waqt
bata ye tujh se judai ka waqt hai ki nahin
Aziz Hamid Madni