اردو हिंदी
Firaq se bhi gae hum visal se bhi gae | Shaahi Shayari
firaq se bhi gae hum visal se bhi gae

Ghazal

Firaq se bhi gae hum visal se bhi gae

Aziz Hamid Madni

;

firaq se bhi gae hum visal se bhi gae
subuk hue hain to aish-e-malal se bhi gae

jo but-kade mein the wo sahiban-e-kashf-o-kamal
haram mein aae to kashf-o-kamal se bhi gae

usi nigah ki narmi se Dagmagae qadam
usi nigah ke tewar sambhaal se bhi gae

gham-e-hayat o gham-e-dost ki kashakash mein
hum aise log to ranj-o-malal se bhi gae

gul o samar ka to rona alag raha lekin
ye gham ki farq-e-haram-o-halal se bhi gae

wo log jin se teri bazm mein the hangame
gae to kya teri bazm-e-KHayal se bhi gae

hum aise kaun the lekin qafas ki ye duniya
ki par-shikaston mein apni misal se bhi gae

charagh-e-bazm abhi jaan-e-anjuman na bujha
ki ye bujha to tere KHatt-o-KHal se bhi gae