اردو हिंदी
Kya hue baad-e-bayaban ke pukare hue log | Shaahi Shayari
kya hue baad-e-bayaban ke pukare hue log

Ghazal

Kya hue baad-e-bayaban ke pukare hue log

Aziz Hamid Madni

;

kya hue baad-e-bayaban ke pukare hue log
chaak-dar-chaak gareban ko sanware hue log

KHun hua dil ki pasheman-e-sadaqat hai wafa
KHush hua ji ki chalo aaj tumhaare hue log

ye bhi kya rang hai ai nargis-e-KHwab-aluda
shahr mein sab tere jadu ke hain mare hue log

KHatt-e-mazuli-e-arbab-e-sitam khinch gae
ye rasan-basta salibon se utare hue log

waqt hi wo KHat-e-fasil hai ki ai ham-nafaso
dur hai mauj-e-bala aur kinare hue log

ai harifan-e-gham-e-gardish-e-ayyam aao
ek hi ghol ke hum log hain haare hue log

un ko ai narm hawa KHwab-e-junun se na jaga
raat mai-KHane ki aae hain guzare hue log