dekhta hun un ki surat dekh kar
dhup mein tare nazar aate hain mujhe
Aziz Hyderabadi
dhaDakte hue dil ke ham-rah mere
meri nabz bhi chaara-gar dekh lete
Aziz Hyderabadi
dil Thikane ho to sab kuchh hai aziz
ji bahal jata hai sahra kyun na ho
Aziz Hyderabadi
duniya ki rawish dekhi teri zulf-e-dota mein
banti hai ye mushkil se bigaDti hai zara mein
Aziz Hyderabadi
gin raha hun harf un ke ahd ke
mujh ko dhoka de rahi hai yaad kya
Aziz Hyderabadi
hum ko sambhaalta koi kya rah-e-ishq mein
kha kha ke Thokaren hamin aaKHir sambhal gae
Aziz Hyderabadi
husn hai dad-e-KHuda ishq hai imdad-e-KHuda
ghair ka daKHl nahin baKHt hai apna apna
Aziz Hyderabadi