koi mausam meri ummidon ko ras aaya nahin
fasl andhiyaron ki kaTi aur diye boti rahi
Aziz Bano Darab Wafa
kuredta hai bahut rakh mere mazi ki
main chuk jaun to wo ungliyan jala lega
Aziz Bano Darab Wafa
lagae piTh baiThi sochti rahti thi main jis se
wahi diwar lafzon ki achanak aa rahi mujh pa
Aziz Bano Darab Wafa
main apne aap se Takra gai thi KHair hui
ki aa gaya meri qismat se darmiyan mein wo
Aziz Bano Darab Wafa
main apne jism mein rahti hun is takalluf se
ki jaise aur kisi dusre ke ghar mein hun
Aziz Bano Darab Wafa
main bhi sahil ki tarah TuT ke bah jati hun
jab sada de ke bulata hai samundar mujh ko
Aziz Bano Darab Wafa
main jab bhi us ki udasi se ub jaungi
to yun hansega ki mujh ko udas kar dega
Aziz Bano Darab Wafa