main us ki dhup hun jo mera aaftab nahin
ye baat KHud pe main kis tarah aashkar karun
Aziz Bano Darab Wafa
mar ke KHud mein dafn ho jaungi main bhi ek din
sab mujhe DhunDenge jab main rasta ho jaungi
Aziz Bano Darab Wafa
mere andar ek dastak si kahin hoti rahi
zindagi oDhe hue main be-KHabar soti rahi
Aziz Bano Darab Wafa
mere andar koi takta raha rasta us ka
main hamesha ke liye rah gai chilman ban ke
Aziz Bano Darab Wafa
mere haalat ne yun kar diya patthar mujh ko
dekhne walon ne dekha bhi na chhu kar mujh ko
Aziz Bano Darab Wafa
meri KHalwat mein jahan gard jami pai gai
ungliyon se teri taswir bani pai gai
Aziz Bano Darab Wafa
meri taswir banane ko jo hath uThta hai
ek shikan aur mere mathe pe bana deta hai
Aziz Bano Darab Wafa