charaghon ne hamare sae lambe kar diye itne
sawere tak kahin pahunchenge ab apne barabar hum
Aziz Bano Darab Wafa
dhup meri sari rangini uDa le jaegi
sham tak main dastan se waqia ho jaungi
Aziz Bano Darab Wafa
ek muddat se KHayalon mein basa hai jo shaKHs
ghaur karte hain to us ka koi chehra bhi nahin
Aziz Bano Darab Wafa
fasana-dar-fasana phir rahi hai zindagi jab se
kisi ne likh diya hai taq-e-nisyan par pata apna
Aziz Bano Darab Wafa
gae mausam mein main ne kyun na kaTi fasl KHwabon ki
main ab jagi hun jab phal kho chuke hain zaiqa apna
Aziz Bano Darab Wafa
hum aise surma hain laD ke jab haalat se palTe
to baDh ke zindagi ne pesh kin baisakhiyan hum ko
Aziz Bano Darab Wafa
hum hain ehsas ke sailab-zada sahil par
dekhiye hum ko kahan le ke kinara jae
Aziz Bano Darab Wafa